Guzar Raha Hoon

Tere asu se dheere dheere bhar raha hoon main
Aur kisto main har roj mar raha hoon main
Kayi sari dafa jo maine guzare tere khayalo main
Ab unhi dafao ko le ke har roj guzar raha hoon main

spacer

Chahat Aur Zaroorat

 

Log aksar apne chahat ko zaroorat ka naame dete hain
Aur zindegi main khudke fayde ko hi insaaf maan lete hain
Aur chahato ki ghulami inhe iss had tak betaab bana deti hain..
Ki tootte huye taro se bhi ye apne khwaisho ko maang lete hain

spacer

Halat-E-Dil


Halat-e-dil mat puchho, taqlife chhupana parta hain
Aap ki umeed na toote, is khatir jhhoti kahani sunana parta hain
Na jaane ye kaisa usool hain, jo iss dil ko kubool hain..
Asuyo ko kayed karke sirf muskurana parta hain
spacer

Kahi Baya Na Ho


Kousish abhi yehi hain ki raaz-e-dil kahi baya na ho
Aur umeedon se umeed kahi kho gaya na ho
Aur taqlife to rhegi hi zindegi ke sath..
Iltija yehi hain ki wo jakham bas koi naya na ho
spacer

Kuchh Khaas..


Dil ke har panno main kuchh khaas likha hain
Aap ke paas hone ka har ahesas likha hain
Aur sirf bataneki baat hoti, to phir bata bhi deta..
Par ek do shabd nhi, maine to pura itihaas likha hain
spacer

Tum Wo Khushbu


Tum wo khushbu ho jise main bhula na paya
Tum wo khwab ho jise main kabhi sula na paya
Aur iss dilke har jakham main bhalehi tumhara naam ho
Tum wo mohabbat ho jise main kabhi rula na paya
spacer

Aadat



Na jaane kab kisike khwaish iss dil ki ibaadat ban gayi
Na jaane kab sirf bardast karna zindagi ki sadakat ban gayi
Na jaane kab muskurane ki wajah batana ek zaroorat ban gayi
Na jaane kab gham aur dawa iss dil ki aadat ban gayi
spacer

Tera Kaatil


Musafir banke har saher main ghumta raha
Har nakaab main tera kaatil dhundta raha
Aur talash khatam huyi afsos ki karagar main
Jab nazre kaatil se mili, jo shishe se mujhe dekhta raha


spacer

Bas Ek.. Kuchh Nhi


Baatein thi bohot, dil ke darwazo se bandh pari
Roye, chillaye, girgiraye the wo har ghari
Aur jaha bas ek dastak ke aas main hum jeete rhe
Jazbaaton ke kabro se aaj wo hain bhari
spacer

Khamoshi Ka Raaz

 
Mere khamoshi ka koi raaz nhi hain
Bas iske (dil) tootne ka awaz nhi hain
Aur ye dhadakta rhta hain jin jazbaaton ke shaaz main
Tumhe bata paneki bas alfaz nhi hain
spacer

Kuchh Baate Thi


 Kuchh baate thi jo tumhe kabhi bata nhi paya
Ishq beshumar hain tumse, par kabhi jata nhi paya
Aur tum masoom thi, wayse masoom hi rhna
Bas isi khwaish main tumhe kabhi sata nhi paya

spacer