Guzar Raha Hoon

Tere asu se dheere dheere bhar raha hoon main
Aur kisto main har roj mar raha hoon main
Kayi sari dafa jo maine guzare tere khayalo main
Ab unhi dafao ko le ke har roj guzar raha hoon main

spacer

Chahat Aur Zaroorat

 

Log aksar apne chahat ko zaroorat ka naame dete hain
Aur zindegi main khudke fayde ko hi insaaf maan lete hain
Aur chahato ki ghulami inhe iss had tak betaab bana deti hain..
Ki tootte huye taro se bhi ye apne khwaisho ko maang lete hain

spacer

Halat-E-Dil


Halat-e-dil mat puchho, taqlife chhupana parta hain
Aap ki umeed na toote, is khatir jhhoti kahani sunana parta hain
Na jaane ye kaisa usool hain, jo iss dil ko kubool hain..
Asuyo ko kayed karke sirf muskurana parta hain
spacer